Posts

Showing posts from 2024

Hissa

Mere hisse ka sindoor, Naam, pyar, sath, aur pariwar...  Sab kuch ussko dene ke baad bhi, usse ussko apna waqt naa dene ka gum bahut satata hein.. Mujhse jab kabhi chhup chhup ke woh milne aata hein, to usse, usska dil na dukhe bass yahi khayal satata hein.. Sach mein, kaun hu mein usski ab, ye sawaal mujhe din raat jalaata hein.. Fir bhi kehta hein, pyar hein mujhse, jab ki usse ghar jaake usse manaane ka khayal hi aata hein.. Mera dukh, mera dard, mera akelapan, ussko samajh nahi aata hein... Bar bar bass yahi kehke "Mein khush, tum bhi khush rehne ki koshish to karo", mujhe samjhata hein. Kaese samjhaau usse, ki jo toota hein mujh Mein, woh mera dil hi nahi, ghar hein... jo ab kabhi nahi jud paayega. -Pooja Oct. 5, 2024