Dulhan banam Birhan

saat fere
saat wachan

do roohon ka
do jismon ka milan

milan saanson kaa
milan dhadkan kaa
milan tha tera mera janmon kaa...

kyu tode fir woh saat feron k wachan
kyu chhutha do ruhon ka milan
kaese hue juda do jism
kyu naa rahan ab saanso ka milan
kyu hui dhadkane judaa
kyu tootaa janmon ka milan

Ban k aayi thi teri dehliz pe kabhi dulhan
aaj ruswa usi dehliz se chali birhan
baandhe jo dhaage wishwas k tumse the kabhi
toote dil mein liye armaan chali wapas ye dulhan

dulhan se birhan ka safar mushkil tha
teri bewafai ne use aasaan kia
teri bin jina naamunkin tha
teri har zid ne use mumkin kiaa

waade kiye the wafaon k jo kabhi
aaj bewafai k namoone liye chali ye dulhan

aaj bhi kehlati hu mein teri dulhan
firti huu yahan se wahan ban k birhan

yeh judai ka dard naa jaane kahan le jaayega
doli se arthi ka safar jaane kab kat jaayegaa

chhutaa babul ka bhi pyaar jo thukraya tumne
meri maa ko hua beti pe malaal jo thukraya tumne
mere bhaiyo ka bhi hein aesa kuch haal jo thukraya tumne
toota to rishta bas tera mera tha
aaj saare samaaj ne thukraya mujhe

aaj ek beti adhuri reh gayi
ek maa, ek behan, ek patni mein adhuri reh gayi

iss adhurepan ko chupaau kahan
meri yeh kahani ab har kisi ki zubani ho gayi...

chhor babul ki gali jo mein chali teri gali thi kabhi
aaj yeh ghar yeh zamaana bhi chornaa hoga
tere ghar se yu nikali barbad ho kar mein
k har shaks ne fir mujhe barbad kiaa
kaap uthti hein rooh meri sir se paao tak
jab kabhi meine beeta woh waqt yaad kia

hein yeh nafrat naa tujhse naa zamane se
ab naa hein koi shikayat apne ghar walon se
maa ki god baap kaa laad chor chali ye bitiyaa
ab iss sansaar se bhi widaa le chali ye gudiyaa...

ye tha mera safar
ye tha teraa bhi safar
har ghar mein tay karti hein koi bitiya ye safar
roklo tootne se fir kisi k armaano ko
toot k mar naa jaaye fir koi Dulhan

-Pooja Agarwal
3rd August 2010

Comments

Popular posts from this blog

"Unloved, Not Unworthy"

"I"

Who are THEY?