Waqt
Mein woh guzraa waqt ban jaungi
Jo kabhi wapas nahi aata...
Mein wo kal ka aehsaas ban jaungi
Jo yaad bahut aata...
Mein wo samundar banjaungi
Jiska ant nahi mil paata...
Mein woh khayaal banjaungi
Jo aaj tumhe nahi aata...
Mein aaj nahi to kal, chali hi jaungi
Mujhe koi rok nahi paata
Mein woh guzraa "waqt" hu...
Jisse sab yuhi gawa dete hein
Par kisi ko samajh nahi aata...
-Pooja
Comments
Post a Comment