From the eyes of every girl
Meine dekha hein woh ek saaya ghoomta,
haath mein liye dard aur maaut,
woh ek saaya, ghoorti hein jisski nazre
yahaan se wahaaa....
naa jaane ab, kissko ruswaa karega, woh ek saaya...
Meine dekha hein zamaane ko uss saaye se larte hue
kabhi naaro to kabhi akhbaaron mein chhapte hue
firr bhi woh saaya bekhof benakaab firta kyu hein
kya ek larki ka maan sammaan yahaan itnaa kum hein???
Nahi samjhi mein,
Woh dard aur maut k saudagar najaane kis ghar mein palte hein
naa jaane kya soch woh ek aurat ko kuchalte hein
naa jaane kya sochti hogi woh maa, k kis shaitan ko janam dia
naa jaane kya sochti hogi woh maa, jisne ek beti ko kho diaa
-Pooja Agarwal
Feb 3, 2013

Comments
Post a Comment